Friday, 31 January 2014

About Masjid in Urdu:

Masjid

People should be avoiding talking about the world in mosque. Don't laugh in Masjid. Here is describing about Masjid Mein Hansne ka Azaab, Masjid Mein Safayi Karne ka Sawab. Read about The benefits of the donation in Mosque.
 

Masjid in Urdu:

Masjid mein dunya ki baton se parhaiz kijye. Madari shareef mein hai keh rahmat-e-aalam Rasul (SAW) ka farman muazzam hai, “masjid mein dunya ki batain karna nekiyon ko is tarah kha jata hai, jis tarah chopayah ghas(GRASS) ko khajata hai”.
Hazrat Muhammad (SAW) ka irshad-e-khusbu dar hai aik zamana aisa aaye ga keh masajid mein dunya ki batain hon gi tum un ke sath mat baitho keh un ko Allah taala se kuch kaam nahi. Han zaruratun dunya ki baat masjid mein kar sakta hai.

Masjid Mein Hansne ka Azaab:

Hazrat Muhammad (SAW) ka irshad-e-ibratnaak hain. “Masjid mein hansna qabar mein andhera lata hai” jab masjid mein hansne ka yeh haal hai to wahan qahqaha lagane ka kia haal hoga? Han masjid mein zaruratun muskurana mana nahi hai. Muskurana ke tareef yeh hai keh is tarah hansna keh daant zahir ho jayain magar aawaz na nikle. Hansne ki tareef yeh hai keh itni aawaz se hansna keh khud apni aawaz suni aur qehqaha yani itni aawaz se hansna keh dusra ho ta to woh bhi sun leta. Masjid ke elawa bhi sarkar do aalam (SAW) ne kabhi qehqaha nahi lagaya.

Masjid Mein Ajar-o-Sawab:

Masjid ke aadab baja lane walon ke liye azeem-us-shaan bashaar-tain bhi hain chunan’cha hazrat-e-saiyadana Abu Zar Ghaffari ® farmate hain keh mujh se sarkar-e-dojahan(SAW) ne farmaya use Abuzar1 tu jab tak masjid mein baith rahe ga aur wahan jitney sans le ga. Har har sans ke ewaz Allah taala tujhe jannat mein aik aik darjah ata farmaye ga. Aur malaika tujh par darud bheijte rahein ge. Aur har har sans ke badle tere liye das das nekiyan likhi jayain gi. Aur tere das das gunah mitaye jayain ge.

Masjid Mein Safayi Karne ka Sawab:

Masjid ki safayi ke silsile mein hazrat (SAW) ka farman-e-aalishan hai, jis ne masjid se muthi bhar gard-o-ghubar nikal dia us ka sawab mizan mein jabal uhad ke barabar ho ga aur ibne jamah ki rawayat mein hai keh sarkar madinah (SAW) us ke liye jannat mein ghar banaye ga.

Tameer Masjid Mein Chandah Dene ki Fazilat:

Hazrat Muhammad (SAW) ka farman-e-jannat nishan hai, jo Allah taala ke liye masjid banata hai Allah us ke liye jannat mein ghar banata hai.

No comments:

Post a Comment